Thursday, February 19, 2009

haath chhute


haath chhute bhi to, rishtey nahi chhoda karte -

waqt ki shaakh se, lamhe nahin toda karte

haath chhute bhi to, rishtey nahi chhoda karte

jiski aawaaz mein silwat ho, nigaahon mein shikan -

aisi tasbir ke tukade nahi joda karte

shehad jine ka mila karata hai thoda thoda

jaanewaalon ke liyein dil nahin thoda karte -

lagake saahil se jo behata hai use behane do -

aise daryiyaan ka kabhi rukh nahin moda karte

waqt ki shaakh se, lamhe nahin toda karte

haath chhute bhi to, rishtey nahi chhoda karte

4 comments:

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  3. Is it your creation.........Too Good.....

    ReplyDelete
  4. Common Mrits ..its a very famous gazal of jagit singh..i really like the wordings so ..pasted it

    ReplyDelete